Ghar bahar ke kaamon me khari chahiye,
Mitti ke shahzadon ko, Son-pari chahiye…
Looks me ho smart, education bhi high ho,
Sone-chandi se ladi hui, sasuraal vo ayi ho,
Aate hi sambhaal le saara kaam, ban jae rani se bai vo,
Aur us par fir bhi muskurati har ghadi chahiye,
Mitti ke shahzadon ko, Son-pari chahiye…
Ek hi pal me, bachpane ko chhod ke,
Har ek ki zarurat ka khayal vo rakhe,
Reet-riwazon ke saath saath, vahmon ka dhyan vo rakhe,
Umar me ho chahe chhoti, har kaam me bdi chahiye,
Mitti ke shahzadon ko, Son-pari chahiye…
Five-star jaisa khana bna sake,
Ghar ka interior bhi chutkiyon me sajaa sake,
Upse ye hai ki paise bhi bacha sake,
Chandani me dhoop sunehri chahiye,
Mitti ke shahzadon ko, Son-pari chahiye…
Ghar ke kone kone ko sambhaal sake,
Bahari duniya ko bhool, ghar me chup kaid rah sake,
Kare na koi sawaal, jawaab har sawaal ka ban sake,
Har ek ki aashaon par vo khari chahiye,
Mitti ke shahzadon ko, Son-pari chahiye…