Friday, 29 August 2014

Zindagi khoobsurat hai


Zindagi khoobsurat hai...

Subah subah ki woh thandi hawa ke jhoke ke sath

jo palko ko chhookar zindagi ki khoobsurati ka ehsas karata hai...


Pakshiyo ki woh chehchahat ke saath

jo mann ki shaanti or sukoon ka ehsaas karata hai...


Woh suraj ki pehli kiran ke sath

jo ek nayi shuruat ka ehsaas karata hai...


Us neele neele aasmaan ke sath
jo aadi anant ka ehsaas karata hai...

Woh mandir ki ghantiyo or mantro ke uchharan ke sath
jo bhagwan ko dhanyawad karne ka ehsaas dilata hai...

Woh Maa ke sparsh ke sath
jo suraksha or pyaar ka ehsaas karata hai...

Woh papa ke aashirwaad ke sath
jo jindagi mei age badhna ka bharosa dilata hai....l

Woh doston ke kahe hue lafzon ke sath,
jo hamesha sath hone ka bharosa dilata hai...

Hamesha bhagte rehte hai hum zindagi ki is daud mein,
kuch paane ke junoon mein,
kuch kar jaane ke junoon mein,
or un sab mein hum in lamho ki ahmiyat bhool jaate hain,
par zindagi khoobsurat hai
kuch haseen lamhon ke sath...