Ruth jati hai takdeer kbhi, badal jata hai wakt bhi,
Daga dete hain apne bhi, gir jate hain unche
takht bhi….
Gar aye bura wakt bhi to apne honsale na
tootne dena,
Thame rakhna hath umeed ka, kbhi sath na
chhootne dena.…
Ye honsale hain parinde, udte rahte hain
asmanon me,
Baz nhi ate ye kbhi bhi, takdeer ko asmaane
me…
Dhoond late hain ye rozana, zindagi ka dana,
Aur bhool kar saare gam, gaate hain masti ka
tarana….
Mat puchho in honsalon ki hadon ke bare me,
Parinde hain ye, nhi jante koi sarhadon ke
bare me….
Par… Ate hain vo din bhi, jab toot jate hain
ye honsale,
Kat jate hain inke par, bikhar jate hain inke
ghosale….
Mat poochho us din, in honsalon ki haalat ke
baare me,
Koi soch nhi hoti us din, raahat ke baare
me….
Par, fir se uth kar ud jaate hain umeed ke
akash me,
Ashkon ko ponchh kar aashiyane ki talaash
me….
Nikal padte hain fir se tinkon ko dhoondne,
Ek ek tinka bin kar, lag jate hain aashiyana
jodne….
Har takleef ko taakat bna kar,
Har dard se bhi dawa ko chua kar,
Ek khwahish toote to hazar saja lete hain,
Aur chhoti chhoti koshish se mukkadar bna
lete hain….
Ye honsale hain parinde, udte rahte hain
asmanon me,
Baz nhi ate ye kbhi bhi, takdeer ko asmaane
me…
No comments:
Post a Comment