Aaj ki is duniya ki bs yahi hai dastaan,
Awaaje hain kam, par shor hai bahot...
Tanha, mayoos lagti hai har surat yahan,
Khwahishen ghut-ti hai jisme, hasraten hai bahot...
Har ehsaas ka kissa ho jata hai nigahon se bayan,
Kuchh ankhen royi hain bahot, kuchh gurrai hain bahot...
Matlabparasat ho chuka hai imaan har insaan ka,
Khudai dikhti hai kam, khudgarzi bikti hai bahot...
Itne beraham ho gaye hain log yahan,
Hamdardi hai kum, par nafraten mahkti hain bahot...
Pyar, ishq, mohabbat rah gae hain bas naam ke,
Wafa ka pta nhi, dhokhe milte hain bahot...
Hawaye bhi rakhti hain yahan aag ka asar,
Khushbooyen hain kam, jinme par dhuan hai bahot...
Nakab hai har chehre pe yahan,
Patharon ki hai hukumat aur phoolon ki zillat hai bahot...
No comments:
Post a Comment