Maa rote hue bacche ka khushnuma palna hai,
Sukhi nadi me jaise ek meetha sa jhharna hai.
Pita ungli pakde bacche ka sahara hai,
Pyar unka kbhi meetha, kbhi khara hai…
Maa lori hai, geet hai, ek payari si dhap hai,
Pooja ki thali hai, mantron ka jaap hai.
Pita paalan hai, poshan hai, pariwar ka anusashn hai,
Ghar ka mukhiya hai, prem ka sashan hai…
Maa ankhon se bahti nadi ka kinara hai,
Gaalon par pappi hai, mamta ki dhara hai…
Pita hai to roti hai, kapda hai, makaan hai,
Pita hi ek chhote se parinde ka bda sa asmaan hai…
Maa jhhulaste dino me koyal ki boli hai,
Mehandi hai, kumkum hai, sindoor ki roli hai.
Pita se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
Pita hai to bazaar ke sab khilone apne hain…
Maa chudiyon wale haaton pe majboot khandhon ka nam hai,
Maa hi kashi hai, kaba hai, Charon dham hai.
Pita se hi pariwar ki har zaroorat ki poorti hai,
Pita rakt me bathe hue sanskaron ki murti hai…
Maa chinta hai, yaad hai, hichki hai,
Maa bacchon ki chot pe siski hai.
Pita suraksha hai, saaya hai, sir par haath hai,
Bin pita ke to bachpan anath hai…
Mata-Pita hi srishti ke nirmaan ki abhivyaki hain,
Wahi jeevan hain, bhaavna hain, shakti hain…
Woh khushnaseeb hain, Mata-Pita jinke sath hote hain,
Kyuki unke hi aashishon ke hazaron hath hote hain…