Rubru tumse hum bolo to……
kaise hon bhala?
Idhar sham udhar raat ka……
andhera chhaya hai ghana.
Tooti shakh ke patte me...... ab nhi bachi hai zindagi.
Jis par itrate the hum……
ab nhi rahi voh bandgi.
Rubaru tumse hone ka soche bhi kaise...... tum hi btao zara.
Idhar sanjhh udhar dhoop ka saya…… faila hai bahut Ghana.
Ek umeed par hi yeh dil tum sang….. bandh sa jata hai.
Par agle hi pal, rishton ki maut ka...... manzar nazar ata hai.
Rubru tumse hone ko……
ab baki kuch na bacha.
Idhar tapti ret udhar angaron ka shola…… faila hai bahut ghana.
Dil-e-bayan ko pesh karte hain...... aaj is kagaz par abhi.
Dil ki har us umeed ko maarte hue…… ki honge tumse rubru kbhi.
Fir bhi ata hai ek khayal honge rubru…… oh mere humnava.
Idhar subah udhar din ka ujala…… faila hoga jab kbhi wahan.
No comments:
Post a Comment