Wednesday, 1 July 2015

Humari Adhuri Kahani


Khushboo ke jhhonke,
ek pal thahrte,
kaise hawaaon me,
kho jate hain,

Dilchasp lamhe,
aksar guzar ke,
kwabon ke jaise hi,
ho jate hain...


Jitni bhi thi khushiyan,
sab kho chuki hai,
bas ek hi gam hai jo,
jata nhi,

Samjhha ke dekha,
behla ke dekha,
dil hai ki chain isko,
aata nhi...


Rut aa rahi hai,
rut jaa rahi hai,
dard ka mausam,
badla nhi,

Rang ye gam ka,
itna hai gahra,
sadiyon bhi hoga,
halka nhi...


Uske pyar ka rang kuchh is qadar chad gya hai mujh pe,
ki ab na jane kitni sadiyon tak, na utar paega.
Par ek bahot bada sach ye bhi hai ki jis insaan se mujhe pyar ho gya tha,
un 10 dino me, kashmeer ki un khoobsurat wadiyon me,
jahan humne sab dekha...
Pyar, kashish, sath, vishwas, pareshani me sath na chhodne ki himmat,
us wakt uski ankhon me jo mujhe dikha tha,
us roshni ne mujhe deewana kar dia tha.
Par vo roshni wahin kashmer me hi rah gai, wapis ayi hi nhi...

Uska pyar meri kamzori ban gya tha, fir ek lamha aya,
jisme mai bhot kamzor pad gai, tut kar bikha gai uske samne.
Par voh us lamhe me bhi majboot chattan ki tarah khada raha.
Nhi jhhuka saka use mera pyar.
Aur us wakt mujhe ahsas hua ki,
mai paani ke bulbule ko bandhane ki koshish kar rahi hu,
jo ki namumkin hai...

Aur fir,
us bulbule ko maine azaad kar dia,
aur usi pal me mai bhi azaad ho gai.
Ab mujhe uska sath nahi chaiye.
Mere akele ke pas ab itna pyar hai ki akelapan ab mujhe daraega nhi.
Aur voh ahsas jo un 10 dino me mujhe hua tha
 voh hamesha ek meethi yaad ban ke mere zahan me kaid rahega...

Ab use kahne ke lie bas yahi shabd hain mere pas,
"Tum laut ke ane ki koshish bhi mat krna,
mai ek hi mohhabat bar bar nhi kar skti"...

No comments:

Post a Comment