Tuesday, 8 March 2016

Faasla... Tere Mere Darmiyan



Saat feron me khai thi kasam sath chalne ki,
Magar do kadam bhi voh sath huare chal na paye,
Apne kadmon ko humari taraf milana unhe gwara nhi,
Toh fir kaise soche, ke umar bhar sath chalne...

Hum has na sake unki kathor baaton ko narar andaaz krke,
Voh ro na paye humare dard me ho karke shaamil.
Jab dooriyan itni hain hum dono ke beech samai,
Toh fir kaise soche, ke umar bhar sath chalne...


Unki baaton me hoti thi aksar ek uncchai,
Humari baaten dabte dabte na deti thi unhe sunai.
Jab shabdon katal ho raha tha is kadar har din,
Toh fir kaise soche, ke umar bhar sath chalne...

Voh har sapne se pare, apni hi banai dunia ka sach lie,
Hum haqiqat aur sapnon ki chadar ode hue.
jahan har din ek ek karke ho rahe the saare sapne dafan,
Toh fir kaise soche, ke umar bhar sath chalne...

Fasala hum dono ka ab apni tarah se sar uthae,
Na jhhuke voh, na humari samjhh kuchh aye.
Jab is faasle me bacha nhi baki bharne ko kuchh
Toh fir kaise soche, ke umar bhar sath chalne...


No comments:

Post a Comment