Thursday, 10 November 2016

Puchhta Hai Aaina Mujhse




Puchhta hai aaina mujhse, mere muskurate chehre ko dekh kar,
Yeh kiski siskiyon ka kaafila mere ird gird rehta hai???
Tere shabd le rahe hain talashi kiski aahat ki?
kaun hai lafzon me jo yun khamosh rehta ha???

Puchhta hai aaina mujhse, meri ankhon ki gehraiyon me dekh kar,
Yeh kiske ashkon ki hain parchhaiyan, kaunse dard ke hain yeh nishan???
Dikh rahi hain mujhe yeh kin khwahshon ki lashen?
Hua ho jaise berahmi se qatal-e-aam, har ek armaan...

Puchhta hai aaina mujhse, mere khamosh labon ko dekh kar,
Yeh kaun se toofano ka shor jo mujhe sunai de raha hai???
kaunsi hai yeh aag jo tere seene me jal rahi hai?
Ki dhuan dhuanh sa charon  aur mujhe dikhai de raha hai...

No comments:

Post a Comment