Monday, 1 June 2015

Maine dekha hai !


Kbhi khud ko anjano ki bheed me,
Kbhi bheed jaisa maahol
khud me umadte hue,
Maine dekha hai….

Deewar jaise rishton ko
samay ki andhiyon me
fisalti ret hote,
Maine dekha hai….

Dekho na itne dhyaan se in ankhon me,
Nazaren mili to hojaengi nam tumari ankhen.
So dard, hazaar ansoo, anginat lafz
Dabe hain yahan....

Dil ke tukde gar ginne nikloge,
To khud hi bikhar ke rh jaoge.
Shabdon me bayan na ho sake,
Us dastaan ka saaransh hai yeh.
Jahan log zamaanon ki tarah badal gae,
Aur badle zamanon ka hisaab nhi jahan.....

Har tooti muskurahat me,
Har dabi hasi me,
Meelon ka dard smaya hai.
Aur unhi logon, zamaanon aur muskurahton me
Barf se thande riston ko
Pani hote hue,

Maine dekha hai……
Maine dekha hai……


No comments:

Post a Comment