Sunday, 14 June 2015

Mile the jab pehli baar unse...


Mile the jab pehli baar unse,
ghabraye hue thode chup-chap se,
bechain the thode, thode se pareshan the,
apni halat pe hum khud bhi hairan the…

Unko dekha fir nigaho ne jab pahli baar,
kuchh ajeeb sa masoos kia, dil ne pahli baar,
Jhanka fir haule haule unki aur humne,
ek nayi lahar uthi ho jaise, dil me pahli baar…

baithe the chup-chap, nazro ko neeche jhukaye hue,
dhadkane thi tez, sanson ko kuch kaabo krte hue.
himakat dekhne ki unki aur dobara na humne ki,
par vo hame hi niharte rahe, thoda-thoda ghabraye hue…

Fir hua shuru daur, sawaal-jawaab ka...
Sabhi sawaal, yun jawaabon me ghulte rahe,
bas mai hi kahti rahi, aur vo sunte rahe,
har sawal pe voh yun muskura dete the...
baaton me ghuli hui us muskan ko hum, bas chunte rahe…

kuch der yun hi sath baithe, hui kuch baatein unke sath,
laga adhoore khwab honge poore ab unke sath,
kar dia tha unki nazaron ne hi, wada sath nibhane ka,
humne bhi us wakt ki dua, ab umar bitau mai unke sath…

No comments:

Post a Comment