Tuesday, 9 June 2015

Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana


cute, animated, love, couples, 20472

Sham savere the unke bahon ke ghere,
ban gaye hon jaise vahi dono jahan mere.
Unke pyar ne kar dia tha,
is kadar mujhe deewana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Chale jate the office, kaise bitati thi mai din.
Unke bin har pal, na lagta tha mera dil.
Vo rokna unka rasta pyar se,
jab jab hota tha mausam suhana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Besabri se karti thi intzaar,
ki jaldi se aajae shukrwaar.
Voh dheemi roshni me filmen dekhna,
Chida chida ke unko vo eclairs khana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Foole gaalon ko unke yun zor se khinchna,
fir unhe has-has ke rasgulle bulana.
Unke lie kavitayen likhna,
roj naye naye tareekon se card banana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Gud-gudi karna, thapkiyon se jagana,
saturday, sunday ko hota tha kitn mushkil uthana.
Paanch minute bol kar fir se so jana,
kitna achha th lagta, unhe mujhko satana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Voh ghar se nikalna, hazaar kapde badalna,
makeup karna, de fir se mitana.
Ittraa ke puchhna fir, "kaisi lag rahi hu?"
unka mazaak me fir yun muh-chidana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...
cute, animated, love, couples, 20298

Baaton hi baaton me kbhi bad jati thi baaten,
ruthe rahte, na fir ek dusre se nazren milate.
Mujhe rota chodo jate, voh muh fer ke so jate.
Fir adhi ra ko vo unka, mujhe mana ka gale lagana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Kbhi pyar se, sote hue unke mathe pe kiss krte.
unse jhhagad ke to hum, na jeete na marte.
Ghanton kandhe pe unke sir rakh ke rote,
unke bin aansuon  ka nhi ab koi thikana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...

No comments:

Post a Comment