Thursday, 15 October 2015

Khamoshi ehsaas hai....




Meri zindgi bhot se daur se guzri... 
khushi , gam, ansu, muskurahat, pyar, bewafai, dhokha...
Par ab.... bass khamoshi hai....
Ab har din mujhe aise bahot se log milte hain
jo is bheed me mujhe jakadna chahte hain,
apna bana chate hain,
apni milkiyat banana chahte hain....
Par aisa koi bhi nahi 
jo mere jism ki bajae meri rooh me jhhank sake...
Mere aas paas itne log hain, itna shor hai...
Par mere andar, bass sannata hai.... bass khamoshi hai....

Meri ankhen so jati hain
par mera dil jagta rahta hai,
taakta rahta hai andhere ko,
shayad ... ek din... inhi se nikalega
ek bichhda hua apna... 
jo mei rooh me jhhnakega
aur
meri zindagi me roshni bikherega....


Thursday, 8 October 2015

Lonely emotions


As the night goes by,
I sit in the corner of my room,
sleepless, disturbed and stucked
into thousands of thoughts….

mumbling and thinking something,
wondering why, wondering how,
is life meant to be so confusing?

wishing for something,
that will shine a light at the darkness,
i stumble through this world;

Lost  somewhere in the middle,
thoughts echoing through a silent night,
wandering aimlessly, trying to find a meaning;

Emotions that nobody can see,
Emotions that nobody can feel,
Emotions trashed within;

As my heart screams for mercy,
my mind struggles to find a solution.
Alone and wishing for something,

Just want to wipe the slate clean and start afresh?


Friday, 25 September 2015

Raindrops


Here i am – happy and sad,
lonely and confused,
my life’s freaky phase has just started,
i am almost there yet i am not even close...

As i put my face against the window,
sitting and watching the dark, watching out the clouds,
it feels as though the skies are shedding tears on me,
as the raindrops fall gently to the ground...

Raindrops

It’s funny how life goes,
up, up and up one day,
down, down and deep down the next,

like a roller coaster...

I often wish that life would treat me,
with a little bit more respect, but here i am,
being tossed around like a
monkey in a circus...

As the raindrops turn into a downpour,
they seem to wash away my tears, my pain,
and drenching me from head to toe,
bringing a sense of optimism

to a bruised and battered soul...



Wednesday, 16 September 2015

Khushi


Sapno ko bech kar, hakikat khareed li,
Khwahishon ko kam kia aur khushi khareed li...


Is zamane se sauda kar ek zindagi khareed li,
Dinon ko bech maine shame khareed li...



Sabne khareeda sona, maine sui khareed li,
Sapnon ko bunne jitni dor khareed li...



Dil lagaya to gam muft me mil gya,
Pyar ko becha aur parwah khareed li...



Ghungroo ko utar kar leli kitaben hath me,
Rui ko bech kar jaise dari khareed li...



Meri ek khwahish ek din, kisi ne mujhse khareed li,
Phir uski hasi se maine apni khushi khareed li...



Zindagi ke samjhhoton ko apna bna kar,

 Khwahishon ko kam kia aur khushi khareed li...

Wednesday, 2 September 2015

Aaj ki duniya


Aaj ki is duniya ki bs yahi hai dastaan,
Awaaje hain kam, par shor hai bahot...

Tanha, mayoos lagti hai har surat yahan,
Khwahishen ghut-ti hai jisme, hasraten hai bahot...

Har ehsaas ka kissa ho jata hai nigahon se bayan,
Kuchh ankhen royi hain bahot, kuchh gurrai hain bahot...

Matlabparasat ho chuka hai imaan har insaan ka,
Khudai dikhti hai kam, khudgarzi bikti hai bahot...

Itne beraham ho gaye hain log yahan,
Hamdardi hai kum, par nafraten mahkti hain bahot...

Pyar, ishq, mohabbat rah gae hain bas naam ke,
Wafa ka pta nhi, dhokhe milte hain bahot...

Hawaye bhi rakhti hain yahan aag ka asar,
Khushbooyen hain kam, jinme par dhuan hai bahot...

Nakab hai har chehre pe yahan,
Patharon ki hai hukumat aur phoolon ki zillat hai bahot...

Saturday, 11 July 2015

Ode to the Love of my Life



I've always been a dancing queen,
Forever and always rhythmically seen.

For me dance will always be my fist love,
Of my thirkan on the beats, with the stars above.

I cannot control the adrenalin in me,
When music is playing, my body sets free.

I simply love to dance and let myself go,
Let the melody take me and just go with the flow.

My passion burns and my heart beat races,
My body melts in with a million faces.

Music is my life and dancing is food,
I simply love to sway, no matter my mood.

Without melody, life would be very hollow,
It helps heal my wounds, pain and sorrow.

Every emotion can be emoted by dance,
weather its sorrow, love or romance.

I love to let harmonies run through my veins,
I work off all my problems and most of my pains.

Without music life wouldn't I survive,
I'd not have it's nourishment to keep me alive.

I will just say...
Dance to heal a wound,
Dance to heal a scar,
Dance under the sun,
Dance under the rain.
Dance is the love of my life,
I dance weather i m happy or i m in any pain...


Monday, 6 July 2015

I Love Rains...


I love the way you touch me,
I love the way you hug me,
I love the way you hide my tears,
I love the way you make me smile with your sweet smell,
I love the way you make every child happy,
I love the way you shower the happiness to farmers,
I love the way you make sky dark,
I love the way you make the atmosphere romantic,
I just want to request you one thing that please don’t
shower too much happiness because it spoils

the life of the people staying on road,
I love you Rains,

Just had a shower of happiness
which hides my pain completely....


Wednesday, 1 July 2015

Humari Adhuri Kahani


Khushboo ke jhhonke,
ek pal thahrte,
kaise hawaaon me,
kho jate hain,

Dilchasp lamhe,
aksar guzar ke,
kwabon ke jaise hi,
ho jate hain...


Jitni bhi thi khushiyan,
sab kho chuki hai,
bas ek hi gam hai jo,
jata nhi,

Samjhha ke dekha,
behla ke dekha,
dil hai ki chain isko,
aata nhi...


Rut aa rahi hai,
rut jaa rahi hai,
dard ka mausam,
badla nhi,

Rang ye gam ka,
itna hai gahra,
sadiyon bhi hoga,
halka nhi...


Uske pyar ka rang kuchh is qadar chad gya hai mujh pe,
ki ab na jane kitni sadiyon tak, na utar paega.
Par ek bahot bada sach ye bhi hai ki jis insaan se mujhe pyar ho gya tha,
un 10 dino me, kashmeer ki un khoobsurat wadiyon me,
jahan humne sab dekha...
Pyar, kashish, sath, vishwas, pareshani me sath na chhodne ki himmat,
us wakt uski ankhon me jo mujhe dikha tha,
us roshni ne mujhe deewana kar dia tha.
Par vo roshni wahin kashmer me hi rah gai, wapis ayi hi nhi...

Uska pyar meri kamzori ban gya tha, fir ek lamha aya,
jisme mai bhot kamzor pad gai, tut kar bikha gai uske samne.
Par voh us lamhe me bhi majboot chattan ki tarah khada raha.
Nhi jhhuka saka use mera pyar.
Aur us wakt mujhe ahsas hua ki,
mai paani ke bulbule ko bandhane ki koshish kar rahi hu,
jo ki namumkin hai...

Aur fir,
us bulbule ko maine azaad kar dia,
aur usi pal me mai bhi azaad ho gai.
Ab mujhe uska sath nahi chaiye.
Mere akele ke pas ab itna pyar hai ki akelapan ab mujhe daraega nhi.
Aur voh ahsas jo un 10 dino me mujhe hua tha
 voh hamesha ek meethi yaad ban ke mere zahan me kaid rahega...

Ab use kahne ke lie bas yahi shabd hain mere pas,
"Tum laut ke ane ki koshish bhi mat krna,
mai ek hi mohhabat bar bar nhi kar skti"...

Sunday, 14 June 2015

I can’t wait any more...


I have been waiting, longing and dying to see you,
yet i could not see you.

The sun rose for days and fell for nights,
yet i could not see you.

The seas and the oceans splashed and make waves,
yet i could not see you.

The cloud wept, wailed and the sun wiped its tears,
yet i could not see you.

The days suddenly woke up and ran like a golden athlete,
yet i could not see you.

The waiting, longing and dying developed into curious and nervous,
yet i could not see you.

All the weeks and the days,
i have waited, is about to evaporate.

Its only one and a half month, i havn't see you, 
seems in my eyes like billions of years.

But divergently, i have realized i can’t wait any more...

For it’s been 44 days of sunrise and fall, 
1,056 hours of O’clock(s) , 
63,360 minutes of time and 
38,01,600 seconds of great moments, 
And after these look over, i finally accord that
The waiting is over,
I can’t wait any more...


Life is not meant to be waited on,
It’s meant to be taken advantage of.
It’s a gift that shouldn’t be wasted or thrown away.
Every breath we take is a display of a miracle happening
So, I will not wait for the things to fall into my lap
The waiting is over,
I can’t wait any more...

I Hate You
And now onwards, i alwaz will....


Mile the jab pehli baar unse...


Mile the jab pehli baar unse,
ghabraye hue thode chup-chap se,
bechain the thode, thode se pareshan the,
apni halat pe hum khud bhi hairan the…

Unko dekha fir nigaho ne jab pahli baar,
kuchh ajeeb sa masoos kia, dil ne pahli baar,
Jhanka fir haule haule unki aur humne,
ek nayi lahar uthi ho jaise, dil me pahli baar…

baithe the chup-chap, nazro ko neeche jhukaye hue,
dhadkane thi tez, sanson ko kuch kaabo krte hue.
himakat dekhne ki unki aur dobara na humne ki,
par vo hame hi niharte rahe, thoda-thoda ghabraye hue…

Fir hua shuru daur, sawaal-jawaab ka...
Sabhi sawaal, yun jawaabon me ghulte rahe,
bas mai hi kahti rahi, aur vo sunte rahe,
har sawal pe voh yun muskura dete the...
baaton me ghuli hui us muskan ko hum, bas chunte rahe…

kuch der yun hi sath baithe, hui kuch baatein unke sath,
laga adhoore khwab honge poore ab unke sath,
kar dia tha unki nazaron ne hi, wada sath nibhane ka,
humne bhi us wakt ki dua, ab umar bitau mai unke sath…

Tuesday, 9 June 2015

Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana


cute, animated, love, couples, 20472

Sham savere the unke bahon ke ghere,
ban gaye hon jaise vahi dono jahan mere.
Unke pyar ne kar dia tha,
is kadar mujhe deewana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Chale jate the office, kaise bitati thi mai din.
Unke bin har pal, na lagta tha mera dil.
Vo rokna unka rasta pyar se,
jab jab hota tha mausam suhana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Besabri se karti thi intzaar,
ki jaldi se aajae shukrwaar.
Voh dheemi roshni me filmen dekhna,
Chida chida ke unko vo eclairs khana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Foole gaalon ko unke yun zor se khinchna,
fir unhe has-has ke rasgulle bulana.
Unke lie kavitayen likhna,
roj naye naye tareekon se card banana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Gud-gudi karna, thapkiyon se jagana,
saturday, sunday ko hota tha kitn mushkil uthana.
Paanch minute bol kar fir se so jana,
kitna achha th lagta, unhe mujhko satana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Voh ghar se nikalna, hazaar kapde badalna,
makeup karna, de fir se mitana.
Ittraa ke puchhna fir, "kaisi lag rahi hu?"
unka mazaak me fir yun muh-chidana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...
cute, animated, love, couples, 20298

Baaton hi baaton me kbhi bad jati thi baaten,
ruthe rahte, na fir ek dusre se nazren milate.
Mujhe rota chodo jate, voh muh fer ke so jate.
Fir adhi ra ko vo unka, mujhe mana ka gale lagana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...


Kbhi pyar se, sote hue unke mathe pe kiss krte.
unse jhhagad ke to hum, na jeete na marte.
Ghanton kandhe pe unke sir rakh ke rote,
unke bin aansuon  ka nhi ab koi thikana.
Shayad, fir laut ayega voh guzra zamana...

Thursday, 4 June 2015

Tera Intzaar


Na chahte hue bhi aaj
sochnne par majboor hui
ki hum jab sath the
tab hi paida kya ye doori hui,
ab hum jahan hain aaj kya
usi ka natija ban kar rah gya hai…..

Jane anjane shayad kuchh
kah bhi na pai thi
tum bhi to
na the samjhhe
aur har unkaha shabd
dard ban kar rah gya hai…..

Har din tumari yaad,
har raat tumari yaad,
par tum bhi karte ho mujhe yaad
ke nahi,
yahi soch soch kr meri ankh ka
aansoo wahin jam sa gya hai……

Hazaaron ki ummeedon ka main
nanha sa ek bandh thi
kis kis ko tham ke chal pati.
Par ek jo tum sath hote to
har mushkil door ho jati.
Par tumne sath na dia aur
Yahi ab meri zindagi ka sbse bda,
sach ban kar rah gya hai……

Din beet gaye kitne,
par tumne na li koi khair khabar.
Jaise tod dia ho har rishta,
jaise na hota ab koi asar.
Par humare lie yadon ke kanch har tukda
khud ko satane ka zaria ban gya hai……

Hain tumara intzaar to hai,
hain aaj bhi tumse pyar to hai.
Par ab yuh rote rote na waqt bitana hai,
ab zindagi me aage bad kuchh kar dikhana hai.
Aur yahi lakshaya ab to
mere jeene ka sahara ban gya hai……



Monday, 1 June 2015

Maine dekha hai !


Kbhi khud ko anjano ki bheed me,
Kbhi bheed jaisa maahol
khud me umadte hue,
Maine dekha hai….

Deewar jaise rishton ko
samay ki andhiyon me
fisalti ret hote,
Maine dekha hai….

Dekho na itne dhyaan se in ankhon me,
Nazaren mili to hojaengi nam tumari ankhen.
So dard, hazaar ansoo, anginat lafz
Dabe hain yahan....

Dil ke tukde gar ginne nikloge,
To khud hi bikhar ke rh jaoge.
Shabdon me bayan na ho sake,
Us dastaan ka saaransh hai yeh.
Jahan log zamaanon ki tarah badal gae,
Aur badle zamanon ka hisaab nhi jahan.....

Har tooti muskurahat me,
Har dabi hasi me,
Meelon ka dard smaya hai.
Aur unhi logon, zamaanon aur muskurahton me
Barf se thande riston ko
Pani hote hue,

Maine dekha hai……
Maine dekha hai……


Friday, 8 May 2015

Poem dedicated to Parents




Maa rote hue bacche ka khushnuma palna hai,
Sukhi nadi me jaise ek meetha sa jhharna hai.
Pita ungli pakde bacche ka sahara hai,
Pyar unka kbhi meetha, kbhi khara hai…


Maa lori hai, geet hai, ek payari si dhap hai,
Pooja ki thali hai, mantron ka jaap hai.
Pita paalan hai, poshan hai, pariwar ka anusashn hai,
Ghar ka mukhiya hai, prem ka sashan hai…

Maa ankhon se bahti nadi ka kinara hai,
Gaalon par pappi hai, mamta ki dhara hai…
Pita hai to roti hai, kapda hai, makaan hai,
Pita hi ek chhote se parinde ka bda sa asmaan hai…

Maa jhhulaste dino me koyal ki boli hai,
Mehandi hai, kumkum hai, sindoor ki roli hai.
Pita se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
Pita hai to bazaar ke sab khilone apne hain…

Maa chudiyon wale haaton pe majboot khandhon ka nam hai,
Maa hi kashi hai, kaba hai, Charon dham hai.
Pita se hi pariwar ki har zaroorat ki poorti hai,
Pita rakt me bathe hue sanskaron ki murti hai…

Maa chinta hai, yaad hai, hichki hai,
Maa bacchon ki chot pe siski hai.
Pita suraksha hai, saaya hai, sir par haath hai,
Bin pita ke to bachpan anath hai…

Mata-Pita hi srishti ke nirmaan ki abhivyaki hain,
Wahi jeevan hain, bhaavna hain, shakti hain…

Woh khushnaseeb hain, Mata-Pita jinke sath hote hain,
Kyuki unke hi aashishon ke hazaron hath hote hain…


Wednesday, 6 May 2015

Rubru



Rubru tumse hum bolo to……  kaise hon bhala?
Idhar sham udhar raat ka……  andhera chhaya hai ghana.
Tooti shakh ke patte me......  ab nhi bachi hai zindagi.
Jis par itrate the hum……  ab nhi rahi voh bandgi.

Rubaru tumse hone ka soche bhi kaise......  tum hi btao zara.
Idhar sanjhh udhar dhoop ka saya…… faila hai bahut Ghana.
Ek umeed par hi yeh dil tum sang….. bandh sa jata hai.
 Par agle hi pal, rishton ki maut ka......  manzar nazar ata hai.

Rubru tumse hone ko……  ab baki kuch na bacha.
Idhar tapti ret udhar angaron ka shola……  faila hai bahut ghana.
Dil-e-bayan ko pesh karte hain......  aaj is kagaz par abhi.
Dil ki har us umeed ko maarte hue……  ki honge tumse rubru kbhi.

Fir bhi ata hai ek khayal honge rubru……  oh mere humnava.
Idhar subah udhar din ka ujala……  faila hoga jab kbhi wahan.